Patriotic Poems

Trendster

New Member
Friends, posting a hindi poem I wrote 2 years back....sorry my computer is not supporting hindi fonts. You can also post your patriotic poems here.

Inquilab Zindabad -


8 April,1929

Batukeshvar Dutt -
Ak baar phir soch lo Bhagat,
Humare iss Garam Rukh par poora desh kya kahega

Bhagat Singh -
Lala ji nay ahinsa se "Simon Waapas Jaao" ka diya tha naara,
Phir bhi Angrezo nay unhe barbarta se maara.
Atyachar badhta rahega,
Lala ji jaisa har pujniye marta rahega,
Jaise pehle tha ab bhi ye desh chhup hi rahega.

Sukhdev -
Par Bhagat Lala ji kay hatyare Sauders ko maarkar,
Jo sandesh hum sab nay failana chaha,
Wo kisi ki samajh mey nahi aaya,
Iss desh kay liye hi to dil mey har waqt aag dhadhakti hai,
Aur yaha ki aam janta ab bhi humey aatanki samajhti hai.

Bhagat Singh -
Hume apne naamo par lage iss kalank ko Lala ji kay ahinsak tareke se hi hai mitana,
Bina kisi ko maare ak bomb kay dhamake se Inquilab Zindabad ka naara har jagah hai gunjana.

Kya tum Tayyar ho Batukeshvar?

Batukeshvar Dutt -
Bhagatey, Mai bhi tera hi to saaya hun,
Bharat Maa kay liye apni maa ki kookh se tayyar hokar aaya hun.

Chandrasekhar Azad -
Par Bhagat,tumhare saath hum ye khatra nahi lenge,
Aisa karne par hum tumhe kho denge.

Bhagat Singh -
"Hindustan Socialist Republican Association" aur "Naujawan Sabha" ko ab aap sab ko hi hai sambhalna,
Iss Bhagat ki kya bisaat hai
Unke zariye Hindustan kay har shakhs ko Bhagat Singh ki tarah hai dhaalna.

Phir Central Assembly mey hua jo visfhoot,
Hil gaya British Samrajya aisi thi jiski chot.
Bereham waqt aisa bhi aaya,
Kai Krativeer saathiyo ko Jail ki bandisho mey jald hi milvaya.

Nahi bhoolti 23 March,1931, ki wo taareekh,
Jab waqt khud se hi ruk jaane ki maang raha tha bheekh.
Naye Bharat kay uday ki kahani tabhi ho gayi thi shuru,
Jab Bharat Maa kay aanchal mey gehri neend so gaye Bhagat Singh,Sukhdev aur Rajguru.

Ye din balidaano se bhare thay,
Kuch din pehle hi,
Ghulam desh mey "azad" jeene waale Chandrasekhar Azad........"azad" hi mare thay.
Har Dil ko saal rahi thi yahi ak gila,
Alfred Park mey "Pandit ji" kay honay ki khabar dene par 30,000 chaandi kay sikko ka inaam kis gaddaar ko mila

Bachaane ko desh ki aan,
Diye gaye hai aise anginat balidaan.

Jiski Azadi kay liye bhet chadha khoon itna.
Kya aisa Bharat tha unn Shaheedo ka sapna
Ab hum sab ko Shaheedo kay dikhaye raaste par jaana hai,
Aur unke sapno jaisa ak naya Bharat banana hai.
Unka balidaan rahega naa yaad
To naye Bharat ko banane kay liye ak baar phir se boliye........
.........INQUILAB ZINDABAD.

Haan,Maine kaha,
INQUILAB ZINDABAD.


Waiting for reviews.
 
My mother,
Your mother,
It's our mother india,
Who may be has not given us birth,
It is impossible to repay its worth,

But we as daughters and sons should step ahead for its protection.
Its protection is our duty,
Protection of people, culture and beauty,

There are many who have done so,
Can't we also stand in that row?
 
hv have done a great job my brother and through this poem we can feel the fire you have in you for serving our INDIA and unforgetable PATRIOTS........ keep it up
 
AARAKSHAN......

aazadi ke deewano ka ab leta koi naam nahi
satta mei sidhanto ki ab karta koi baat nahi
humne toh ye rajghat par gandhi rote dekha hai
arrakshan ke naam par navuvak jalte dekha hai
arrakshan nahi yahan sanrakshan hona chahiye
nayi vavystha naya yaha praivartan hona chahiye
manav ko manavta ka sanrakshan hona chahiye
samvidhan mei arrakshan parivartan hona chahiye
 
Back
Top