girte hue pankhon ko chalte dekha hai, maine aaj mein apne kal ko dekha hai, mit ti hai chaandni raat ki ot mein, maine chaand ko sambhalte dekha hai, amaavas ki raat ke baad poonam zaroor aati hai, maine har patthar ko moorat bante dekha hai... sookhe gulshan mein paani baraste dekha hai, maine aaj mein apne kal ko dekha hai, mor ki thirkan dekh ke kyun hairan ho, maine use meeh mein thirakte dekha hai... sookh jaate hain patte bhi dhoop mein rehkar, maine hawaayon ko garajte dekha hai, aandhiyan to aani-jaani cheez hain, maine unmein "insaan" ko baraste dekha hai, rakh honsla, maine aaj mein kal ko dekha hai ...
Nice one..................................................................................................................................................................